

حیدرآباد شہر کے معروف ماہر تعلیم میں سے ایک وقف ایڈوکیٹ کے قتل کا ملزم سٹی پولیس کمشنر کی پریس کانفرنس
اگر کسی نے کسی شخص کو قتل کے بدلے یا (اور) زمین میں فساد پھیلانے کے لیے قتل کیا تو گویا اس نے تمام انسانوں کو قتل کر دیا اور جس نے ایک جان بچائی تو گویا اس نے تمام انسانوں کی جان بچائی۔
if anyone killed a person not in retaliation of murder, or (and) to spread mischief in the land – it would be as if he killed all mankind, and if anyone saved a life, it would be as if he saved the life of all mankind.” quran;Surah almaida Ayah=32
“यदि किसी ने किसी व्यक्ति की हत्या की—न कि किसी हत्या के बदले में, या (और) ज़मीन में फ़साद फैलाने के लिए—तो यह ऐसा होगा मानो उसने समस्त मानवजाति की हत्या कर दी; और यदि किसी ने किसी की जान बचाई, तो यह ऐसा होगा मानो उसने समस्त मानवजाति की जान बचाई।”
Hyderabad City Police Commissioner V.C Sajjanar IPS ne Advocate Khaja Moizuddin ke Qat@l par Investigation aur Arresting ke baad Press Conference ki jisme tamam Tafsilaat batayi.
Mujahid Alam Khan, Mahboob Alam Khan ke alawa Hassan Ali (Chaush), Muneer, Pappu, Vinay, Abhijeet (Nani), Vikram (Chintu), Monideep (Pogo) ko bhi ko kiya gaya Girafta@r aur Press Conference me pesh kiya.
See less
#NawabShahAlamKhan#NawabMahboobAlamKhan,#MujahedAlamKhan

Advocate Khaja Moizuddin Qatl Case: Hyderabad ke Alam Khan Khandan kaun hai?
Hyderabad: High Court ke mashhoor wakeel aur Waqf activist Khaja Moizuddin ke qatl ke maamle mein Nawab Mahbub Alam Khan (84 saal) aur unke bete Mujahid Alam Khan (42 saal) ko police ne hirasat mein liya hai. Aaiye jaante hain ke Alam Khan khandan kaun hai aur is maamle mein unka naam kyun saamne aa raha hai.
Alam Khan Khandan
Nawab Shah Alam Khan aur unki ahliya Begum Abida Khatoon ke saat bachche hain aur Hyderabad mein unki aulad par mushtamil ek bada khandan hai.
Begum Abida Khatoon ke walid Mohammed Abdus Sattar, Deccan Cigarette Factory ke baani the. Is factory ka intizam Nawab Shah Alam Khan ne 1946 mein sambhala tha. Mashhoor “Golconda Cigarettes” isi factory ki paidaawar thi.
Nawab Mahbub Alam Khan
Nawab Mahbub Alam Khan, Anwar-ul-Uloom Educational Association ke Secretary hain. Woh Nizami pakwanon (Royal Nizami Cuisine) ke maahir aur tareekhi dastavezat ke muhafiz bhi maane jaate hain. Unhon ne Taj Group of Hotels ke liye culinary consultant ke taur par bhi kaam kiya aur sarkari dawaton ke liye bhi apni khidmaat anjaam di hain.
Mujahid Alam Khan
Mujahid Alam Khan, Anwar-ul-Uloom College of Pharmacy samet kai idaron ke Joint Secretary hain. Siyasi tor par woh Telangana Pradesh Congress Committee ke Vice President hain aur Medak Parliamentary Constituency ke Incharge bhi hain.
24 May 2026 ko Mujahid Alam Khan ne apne Facebook page par likha:
“Advocate Khaja Mohiuddin ke inteqal par hamein gehra dukh hua hai. Hum unke khandan se ta’ziyat ka izhar karte hain. Is waqia se hamara koi ta’alluq nahin hai. Hum be-bunyad ilzamat ki mazammat karte hain aur qanooni tehqeeqat mein mukammal ta’awun karenge.”
Taleemi Trusts Aur Jaidad Ka Tanaza
Alam Khan khandan ka Anwar-ul-Uloom Educational Association par kaafi arse se qabza aur intizami ikhtiyar raha hai. Yeh idara asal mein 1909 mein qaim hua tha, jabke Shah Alam Khan ne 1953 ke baad isay wasee taleemi network ki shakal di.
Yeh trust Hyderabad ki qeemti jaidadon ka intizam karta hai jin ki qeemat kai sau crore rupaye batayi jaati hai.
Tanaza Shuda Jaidaden
Bataya ja raha hai ke Khaja Moizuddin qatl case ki bunyad un jaidadon aur adalati maamlaat par mabni hai jo Telangana Waqf Board aur Anwar-ul-Uloom Educational Association ke darmiyan pichhle 13 saalon se zair-e-tanaza hain.
Anwar-ul-Uloom College, Mallepally
Mallepally mein waqay yeh campus 2001 se Waqf Board aur Anwar-ul-Uloom Educational Association ke darmiyan qanooni jang ka markaz bana hua hai.
Waqf Board ka da’wa hai ke yeh zameen registered Waqf jaidad hai, jabke Alam Khan management ka kehna hai ke yeh Association ki milkiyat hai aur Waqf Board ke paas asal Waqfnama maujood nahin hai.
Mumtaz Yar-ud-Daula College (Mumtaz College), Malakpet
Asmangadh, Malakpet mein taqreeban 36 acre qeemti zameen par waqay yeh idara bhi tanaza ka markaz raha hai. Khaja Moizuddin ne adalat mein da’wa kiya tha ke yeh Waqf zameen ghair qanooni tor par qabza aur privatization ka shikar hui hai.
Madrasa-e-Aiza / Issa College
Malakpet aur Narayanguda ilaqon se muta’alliq yeh idare bhi Waqf zameenon ke registration aur istemal ke maamlaat ki wajah se tanaza mein rahe hain.
Owaisi Khandan Se Rishta
Hyderabad ke Member of Parliament Asaduddin Owaisi ki badi beti ki shaadi Barkat Alam Khan se hui hai.
Barkat Alam Khan, Nawab Ahmed Alam Khan ke bete hain. Nawab Ahmed Alam Khan ek mashhoor industrialist aur fitrat se mohabbat karne wali shakhsiyat ke taur par jaane jaate hain.
Alam Khan khandan ke paas Vikarabad mein wasee ziraati zameenen hain aur woh gulab ki kasht mein bhi dilchaspi rakhte hain.
Khaja Moizuddin Ka Kirdar
Marhoom Khaja Moizuddin ke susar Ghulam Yazdani, Anwar-ul-Uloom Society ke rukan reh chuke hain.
Waqf Board ke zarae ke mutabiq, tanaza us waqt shuru hua jab Society ke qawaid aur trust ke usoolon mein tabdeeliyon ka ilzam lagaya gaya.
Khaja Moizuddin in tabdeeliyon se waqif the aur unhon ne in maamlaat ko adalat mein challenge kiya tha.
Waqf Board Ka Mauqif
Ab tak Telangana Waqf Board ki taraf se koi rasmi bayan jari nahin kiya gaya hai. Albatta zarae ka kehna hai ke Board police ki tehqeeqat mukammal hone ka intezar kar raha hai.
Ek senior High Court advocate ke qatl ke baad Waqf Board par bhi is maamle mein qadam uthane ka dabao barh gaya hai.
#historyofshahalamkhan#Owaisi#AsaduddinOwaisi#KhajaMoizuddin#newsonelivetv#TelanganaNews#hyderabad#VcSajjanar#barkathalamkhan#advocatemurdercase
خواجہ معزالدین ایڈو کیٹ قتل کیس ۔مجاہد عالم خان ملزم محبوب عالم خان سمیت دیگر ملزمین گرفتار
حیدراباد کے مشہور ایڈوکیٹ خواجہ معزالدین قتل کیس میں پولیس تحقیقات کے دوران چونکا دینے والے انکشافات سامنے آئے ہیں۔ پولیس کے مطابق مقتول کے قتل کی منصوبہ بندی کئی ماہ قبل کی گئی تھی اور اس کے لیے 15 لاکھ روپے کی سپاری دی گئی تھی۔ اس سلسلے میں متعدد ملزمین کو گرفتار کرتے ہوئے قتل میں استعمال ہونے والی اسکارپیو گاڑی، نقد رقم اور موبائل فون ضبط کرلیے گئے ہ ہے پولیس کے مطابق 23 مئی 2026 کی صبح مقتول کے فرزند ایم ایس فرحان نے نامپلی پولیس اسٹیشن میں شکایت درج کروائی تھی۔ شکایت میں بتایا گیا کہ خواجہ معزالدین حسب معمول تیراکی کے لیے جانے کی غرض سے مانصاحب ٹینک میں واقع اپنی رہائش گاہ کے باہر کھڑی گاڑی کی طرف جارہے تھے کہ اسی دوران ایک تیز رفتار گاڑی نے جان بوجھ کر انہیں زور دار ٹکر ماری۔ شدید زخمی حالت میں انہیں اودے اومنی اسپتال منتقل کیا گیا جہاں وہ دوران علاج زخموں سے جانبر نہ ہوسکے۔
ابتدائی طور پر اس واقعے کو حادثہ تصور کیا گیا تھا، تاہم بعد میں سی سی ٹی وی فوٹیج اور دیگر شواہد کی بنیاد پر پولیس نے اسے قتل قرار دیتے ہوئے کیس میں قتل کی دفعات شامل کرلیں۔ تحقیقات میں یہ بات سامنے آئی کہ سبز رنگ کی بغیر نمبر پلیٹ والی مہندرا اسکارپیو مقتول کے گھر کے باہر پہلے سے گھات لگائے کھڑی تھی اور جیسے ہی وہ باہر آئے، گاڑی نے منصوبہ بند انداز میں انہیں ٹکر ماری اور فرار ہوگئی۔
پولیس نے سکندرآباد کے پنچوتی لاج اور نارائن گوڑہ کے محبوب ہوٹل کے سی سی ٹی وی فوٹیج کی مدد سے ملزمین کی شناخت کی۔ تحقیقات میں معلوم ہوا کہ مقتول اور ملزم مجاہد عالم خان کے خاندان کے درمیان ملک پیٹ اور لکڑی کا پل کی وقف جائیدادوں کو لے کر کئی برسوں سے تنازعہ چل رہا تھا اور مختلف عدالتوں و وقف ٹریبونل میں مقدمات زیر سماعت تھے۔
Is case mein police ne jin afrad ko mulzim qarar diya hai un ke naam yeh hain:
- • Mujahid Alam Khan urf Baba, A1
- Mahaboob Alam Khan, A2
- Hassan Ali urf Chaous
- Muneer
- Kishan urf Pappu
- Vinay
- Abhijeeth urf Nani
- Vikram Aditya urf Chintu
- Manideep urf Pogo Nani hain

